DIANA Air Rifles ko duniya bher mein tasleem kiya jata apne behtareen miyaar, tameer aur firing ki shandaar salahiyatoon ki wajah sey. Ihtiyaat sey istimaal kiya jaye, tu iss model sey aap kaye saalon tak luft-andooz ho saktey hain.
DIANA 240 CLASSIC .22 AIR RIFLE
Aik kum qeemat ka entry-model, straight classic wooden stock kay sath jis mein TRUGLO fiber-optic-sights, adjustable T05-trigger, 7,5 Joules ki power, miyari equipment aur high precision guarantee hai.
(Yeh aap ki tafrih ka behtreen saathi hai).
Calibre: 5.5mm (.22) Youth Airgun
Basically dekha jaye tu, Diana 240 Classic aik break barrel rifle hai jo keh naujawano kay liye banaye gaye hai. Hum ney kaha keh basically, kyun keh, dosri tamam iss tarah ki air guns jo keh market mein hain jaise (Daisy 853 etc.), yeh bhi tajurbekar air gunners ko mutaasir kerti hai jo sirf shoot kerna chatey hain aur unn ko velocity sey koye mutlab nahin hota hai.
Diana 240 Classic choti hai lekin petite nahin hai. Iss ki overall lenght 40" inches ,jab keh barrel length 13.5" ki hai. Air gun ki yehi Khusiyaat ,naujawaano ko aik munasib range farahum kerti hai . Rifle ka weight 5.7 lbs. hai specs kay mutabiq.
Finish:
Stock aik classic beechwood stock hai baghair kisi tazeen o araish kay. Yeh model 27 kay stock sey bahut mutabiqat rakhta hai,siway iss kay keh iss mein aik black plastic butt plate hai, jab kay model 27 butt mein plain wood hai aik rubber pad kay sath jo rifle ko corner sey slip hone sey bachata hai.
Tamam metal parts ko deeply blackened aur smooth polished kiya gaya hai. Kush parts plastic kay hai jaise keh trigger, triggerguard aur front sight assembly. Lekin ziyada tar rifle waise hi design ki gayi hai jaisi keh 1970 mein banayi gayi thi.
Sights:
Rifle open sights kay sath aati hai. Rear sight mein aik fiberoptic tube hai (aik green dot rear nishaney ki kisi bhi side per ) aur yeh adjustable hai dono sides sey. Front sight aik hooded fiberoptic tube hai jis ko aik plastic ramp sey cover kiya gaya hai.
Two parallel dovetail grooves ko cut kiya gay hai spring tube kay uper, 11 millimeters ki aik dosray sey doori par. Diana ki expensive spring rifles kay burrasks, iss pey koyi scope base mounted nahin hai — siway unn grooves kay.
Diana 240 Classis trigger:
Yeh two-stage trigger hai, jis mein aik screw blade kay front par hai jo kay first stage travel length ko adjust kerta hai.
Shooting impression:
Yeh asani sey cock ki ja sakti hai (specs. kehtay hain 20 lbs ka pressure.aur yeh theekh hai). Ball bearing sakth hone ki wajah sey iss ko rokta hai aur isi wajah sey barrel cock kerney kay liye, muzzle pey jathka dena perta hai. Rifle ka jerk kum hai kyun kay rifle ziyadha power develop nahin kerti hai. Velocity : 495 fps hai specs kay mutabiq. Apne light recoil ki wajah sey rifle bahut smooth fire kerti hai.
Specificatios:
Approximate weight | 5.7 lbs |
Overall Lenght | 41" |
Stock Material | Timber |
Barrel Length | 16.5" |
Sights | Open |
Break Barrel | Yes |
Muzzle Velocity | 495 fps |